bina kisi software ke computer ya laptop me screen shot kaise le

bina kisi software ke computer ya laptop me screen shot kaise le
dosto kabhi-2 jab hum computer ya laptop par baithte hai.
to kisi cheez ka screen shot lena pad jaata hai. agar humaare pass screen shot lene ka software hai. to hum badi aasani se screenshot le lete hai. lekin agar software nahi hai to hum kaise kisi cheez ke screenshot lenge. aaj hum apko yehi bataunga ki bina kisi software ke  madad se computer ya laptop me screenshot kaise li jaati hai. ye bahut hi aasan hai.
jab aap kisi cheez ka screenshot lena ho to pehle use apne computer ke desktop par open kar ke rakhe aur computer par "prt sc" button ko dabaye.
ab bina kisi cheez ko copy kiye seedhe "start button" press kare. ab start programme me "paint"

bina kisi software ke computer ya laptop me screen shot kaise le
software ko search karke open kare. ab aap dekhenge ki paint software me left side me ek jagah par likha hoga "paste" us par click kare. usme do option hoga "paste from" aur "paste" aap paste ko select kare
aap jaise hi paste ko select karenge aap dekhenge ki aapke paint software me aapka vohi screenshot jisko aapne kholkar prt screen button dabaye the vohi aa jaayega.
 aap isse save kar lijiye aapka screenshot ho jaayega.

Previous
Next Post »