apne blog me ads net work ka kaise lahaye in hindi

             adds kaise lagaaye

dear reader aaj hum aap logo ko bataunga. ki hum apne blog me ads network ka ads. kaise lagaate hai. jab hum blog bana lete hai. aur usme post karne ke baad hum ye sochte hai. ki ab hum koi ads network ka ads lagakar apne blog se paise kamaye. to hum kisi ads network par account bana lete hai. aur ads ka code bhi le lete hai. to yaha par humaara sabse badi samasya hoti hai ki hum apne blog me isse kaise lagaaye. agar aap nahi jaante ki ads kaise lagaaya jaata hai. to dont worry.. mai aapko bataane wala hoon ise kaise lagaaya jaata hai. aap mere bataye hue step ko follow kariye. aapka ads lag jaayega aur aap seekh bhi jaaenge.
1 step
sabse pehle aap apne blog me log in ho jaaye
2 step
uske baad layout par click kare phir sidebar par add a gadget par click kare 
3 step 
ab ek pop up window open hogi usme se aapka html java script ko choose karna hai
ab voha par 'title' me aap apne hisaab se koi name likhe. aap isse khaali bhi chhod sakte hai. phir neeche ke box me. aap apne ads ko paste kar deejiye aur save par click kare aapka ads aapke blog par lag chuka hai. aap preview par click karke dekh sakte hai. ho sakta hai ki aapka ads turant show na kare . kyou ki kuchh ads network site ka ads turant show nahi hota hai.

i hope ki aap log jaan gaye honge ki ads blog par kaise lagaaya jaata hai. agar phir bhi nahi samajh me aaya ho aur ads lagaane koi problem aa raha hai to aap mujhse comment ke dvara puchh sakte hai. hum aapki problems ko solve karne ke liye har possible koshish karenge.  

Previous
Next Post »