apne blog me google search widget

apne blog me google search widget

dear reader aap sabhi kaise hai mujhe ummeed hai. ki aap sabhi achhe hi honge dosto aaj hum aao logo ke liye aaj ek badhiya tool laya hoon. jise aap apni blog ya website me istemaal kar sakte hai. ye tool google search tool hai. jisko lagakar aap visitor ka kuchh khojne me madad kar sakte hai. dosto iss tool ko aap meri blog ke sidebar me dekh sakte hai. dosto ek baat ko dhyaan rakhna ki jyada widget lagane se isska kuchh side effect bhi humaare blog ke opening speed ko kam kar deta hai. dosto aap samajh sakte hai ki jab humaare blog par jyada widget honge to ek ek karke load honge aur jyada samay lenge agar kam widget hai to kam samay lenge issiliye keval jo jaroori hai. vohi widget apne blog me lagaye to hum ab aapko batate hai. ki issko kaise apne blog me lagaya jaata hai.
1 step
apne blog me log in ho jaae uske baad lay out par click kare
2 step
ab add a gadget par click kare ek window alag se open hogi 
3 step
ab add google search widget par click kare 
4 step 
ab isse apni hisab se setting kare aur save par click kare bus aapka widget lag chuka hai. aap preview par click karke dekh sakte hai. 

ye jankari kaisi lagi hume bataye jaroor comment ke dvara .
aur agar kuchh puchhna hai. to vo bhi puchhe hum aapka madad jaroor karenge.

thank you..
Previous
Next Post »