google analytic par account kaise banaye
agar aap meri yeh post padh rahe hai. to aapke paas bhi koi blog ya website hai. ya phir banane ki taiyaari me hai agar aapke paas bhi koi blog ya website hai to aapko bhi aapke blog ki traffic jaanne ki ichcha hogi.
issliye aaj hum aapko google analytic ke bare me bataunga.
dosto google analytic ek web tracking service hai.
jise google ne banaya hai aur free hai. aap yeha par account banakar apne blog ya website ki traffic dekh sakte hai.
yeha kya dekh sakte hai.
1= humaaari progressive kitni hai.
2= naye puraane visitor ka pratishat kitna hai.
3= visitor kaun kaun sa post padha
4= visitor kaha se aaya hai kya search karke aaya hai.
5= kaun se device se humaare blog ko padha mobile se
ya laptop se.
6= visitor kis country ka hai
aur bhi bahut kuchh aap yeha dekh sakte hai.
mai aapse yehi kahunga ki aap issse aaj hi bana lijiye
kyoki aap analytic par apne blog ki traffic badhte huye dekhenge to aap blogging karne ke liye aur bhi inspire honge.
dosto isske hi jaisa alexa bhi ek site hai jo web tracking ki suvidha deti hai. lekin isske baare me hum aapko agle post me bataunga ki iss par kaise account banayi jaati hai. abhi hum aapko analytic par account kaise banaya
jaata hai. ye batayenge.
analytic par account banana bahut hi aasan hai.
1step
sabse pehle google search box me analytic type karke
search kare ab search result me analytic par click kare
2step
ab jo page khule us par "sign up" par click kare
3step
ab yeha par ek form aayega usme sahi sahi sabhi detais bhare aur "continue" kare
ab yeha par apni "country" choose kare "terms and condition" par mark lagaye "accept" par bhi mark lagaye fir get "tracking code" par click kare ab aap dekhenge ki upar
aapka tracking code likha hoga. mai isse pic" me bhi dikhaya hun.
google analytic |
gaya hai. tracking code bhi mil gaya hai. ab hum aapko yeh batayenge ki isse blog me kaise lagate hai.
1step
apne blogger account me log in ho jaaye
2step
" setting" par click kare fir "other" par click kare
3step
ab aap dekhenge ki ek dum neeche "google analytic" likha hoga iske samne ek "box" bhi bana hoga
google analytic |
aur "save "kar dijiye ab aapka blog analytic se jud gaya hai. apne blog ke traffic ko aap analytic par dekh sakte hai.
kuchh aisi jankari jiski jaroorat aapko padegi
1 top 12 seo tool jise mai bhi use karta hun
2 feature post widget apne blog me lagaaye.