free me blog kaise banaye in hindi

             blog kaise banaye

dear reader ye meri sabse pehli post hai. aur mai apni pehli post se un logo ka madad karna chahta hoon . jo abhi tak blog nahi bana paaye hai . aur banana chahte hai. dosto kya aap bhi online paisa kamana chahte hai. to mai aapko yehi kahoonga ki blogging is the best way of online money earning. issiliye aaj main aap ko ye bataoonga ki blog kaise banai jaati hai. dosto blog banana bahut hi aasan hai. aap mere simple se step ko follow kariye bus dekhna ki aapka blog kuchh hi minto me ban kar ready ho jaaega
1 step
sabse pehle aap apni browse par www.blogger.com par jaye aur apne gmail ke id se log in ho.
2 step
apne gmail ke id se log in hone ke baad waha par aap dekhenge ki ek jagah likha hoga create a new blog us par click kare . ab aapke samne jo box bana hai. upar wale box me apne blog ka title likhe
aur nechhe wale me wo likhe jis name se apne blog ko banana chahate hai. ab neeeche se template choose kare aur create par click kare bus ab aapka blog ban chuka hai.


to dosto ye jankari kaisi lagi comment ke madhyam se bataiyega jaroor hume aapke comment ka intjaar rahega . aur agar aapka koi sawal ho to use puchhe jaroor. hum aapki madad karne ki puri koshish  karenge   
Previous
Next Post »