blogger me menu edit kaise karte hai.

                   blogger me menu edit kaise kare 


facebook par humse bahut se logo ne puchha.ki blogger me menu kaise edit kiya jaata hai? menu par link kaise lagaya jaata hai ? menu ka name kaise change  kare. aur bhi  bahut saari question puchhi gayi.so humne unko facebook par bata diya ki issko kaise krna hai. lekin humne socha ki jab ye problem inko hai to aur bhi bahut saare logo ki ye problem ho sakti hai. issiliye humne socha ki isski ek post hi kar di jaaye
to aaj hum menu se related un sabhi samasyaon ka samadhaan karne ki koshish karnge jo ek new blogger ko face karna padta hai. to aaiye jaante hai  menu se related samasyaon ka samadhaan.
also read= high traffic secrete old visitor

#1 menu ka name change karna


sabse pehle hum menu ka name change karna seekhte hai.menu ka name change karne ke liye aapko aisa karan hai
sabse pehle apne blogger account me log in ho.aur "template" par click kare.ab "edit html" par click kare. template editor me kahi bhi ek bar click karke."ctrl+f" dabaye ab ek search box ban jayega .ab jis menu ka name change karna hai.use is text box me likh kar enter dabaye. jaha bhi .yah name hoga wo highlight ho jayega.ab ise delete karke wo likhe jis name se menu ko dikhana chahte hai.
also read= on page seo karne ke 15 effective tarike

# 2 menu me link lagana 

menu edit kaise kare

ab to hum jaan chuke hai. ki menu me name kaise change kiya jaata hai. ab baar aati hai. menu me link lagaane ki jab aap menu ka name change kiye honge to aapne  dekha hoga name ke left side me ek jagah' # ' hoga bus is # ko remove karke .yaha par apna link paste kre aur template ko save kar de.
also read= blog par high traffic paane ke 5 sidhan

#3 menu lagana aur menu remove karna

kabhi -kabhi  aisa hota hai .jo humne template apne blog me upload ki hai.us template me .menu hamare hisab se nahi hoti hai. ya to usme menu kuch jyda hoti hai. ya to kuchh kam .is step me hum yahi janenge .ki menu ko kaise lagaya jaye ya menu ko kaise remove kiya jaye.
also read= backlink kaise create kare.

# 4 menu add karna.


menu add karne ke liye maine neeche ek code diya hai.us code ko copy karke kisi bhi menu code ke neeche.ise paste kar de [ ya fir jis menu ka name change kiya hai.uske theek neeche paste kare]
is code me jaha likha hai.YOUR LINK HERE waha par apna link paste kare aur jaha likha hai.MENU NAME HERE waha par apne menu ka name likhe.[ jis name se menu ko dikhana chahte hai ]
ise bhi padhe= best free seo tool in hindi

#5 menu remove karna.


menu ko nikaalne ke liye in step ko follow kare.jis menu ko remove karna chahte hai.usko apne template editor me search kare [ tip CTRL+F] jab yah menu mil jaaye to.[is menu ka code bilkul vaisa hi ho sakta hai.jaise maine upar menu ka code diya hai] bus isline ke sabhi code ko delete kare aur template ko save kar de.
ise bhi padhe=off page seo kaise kare
NOTE= template me kuch bhi karne se pehle template ka back up le le. qki agar template me koi problems aa jayegi to hum is template ko dobara upload karke .problems ka solve kar sakte hai.
also read =broken link ko redirect kaise karte hai

dear rider humne menu se related. un sabhi  problems ka solution de diya hai.jo ek new blogger ko face karna padta hai.agar fir bhi koi problems aa rahi hai.to aap hume apna ek achha dost samajhkar comment ke dwara puch sakte ho.aapke samasya ka samdhan. jald se jald ki jayegi.
thank you for read this post

in post ko bahut se logo ne padha. aapko bhi in post ko padhna chahiye
1 blog par high traffic paane ke 5 sidhaant
2 on page seo ke 3 important factor jise google bahut importance deta hai.
3 post title seo freindly banane ke 11 effective method


Previous
Next Post »