virus kya hai aur isse kaise bacha jaye
hum bahut baar yeh sunte hai. ki humaare computer or mobile me virus aa gaya hai. agar hum kisi se isska solution puchhte hai.to seedha jawab milta hai. ki apne computer me ek achha antivirus instaal karke full scan karo. ya fir computer ko format karo. aisa hi jawab milta hai.lekin aisa hi jawab kyo milta hai ?. kyoki computer me virus aane ke baad. humaare paas inke alawa aur koi rasta hi nahi bachta hai. issko nikaalne ke liye. kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki virus humaare computer me. itna jyada a jaate hai. ki hum unko antivirus se bhi nahi nikaal paate hai. aise samay me humaare pass keval ek hi rasta hota hai. computer ko format karna lekin ye ek harmful process hai. kyoki format karne ke baad humaare computer me store huyi file sabke sab delete ho jaati hai. jo koi bhi nahi chahta
hai. aaj jis-jis ke pass computer or laptop mobile etc. hai vo sabhi virus se bahut achhi tarah se parichit honge. ye sabhi jaante hai. ki virus ek bahut badi tention ka naam hai. virus computer ke sabse bada dushman hai. lekin agar hum puchhe ki virus kya hai?.
also read=broken link ko kaise redirect karte hai.
to bahut kam hi log. ye bata paayenge ki virus kya hai.
dosto aaj hum apko asal me bata hi dete hai. ki aakhir ye virus hote kya hai.
dosto agar aap gaur karnge to yehi paayenge ki virus bhi ek computer programme hi hote hai. ek example se ye ek dum clear ho jayega.
also read= computer ke folder par apna photo lagaye
example= aap VLC ko hi le lijiye VLC kis kaam aata hai. VLC audio aur video play karne ke kaam aata hai. yaani ki VLC ko audio video file ko play karne ke liye programme kiya gaya hai. theek issi tarah virus bhi issi tarah kisi kaam ke liye banayi jaati hai. fark sirf itna hai ki. virus ka progarmme humaare computer ko nuksaan pahuchaate hai.or virus programme kuchh aisa karte hai. jo hum nahi chahte hai. yeha par gaur karne waali baat ye hai ki virus khud kuchh nahi kar raha hai. balki wo to programmer ka jo uska banaya hai. uski aagya ka paalan kar raha hai.
also read= vlc media player ke 6 secrete tips & tricks
dosto virus ki sabse badi khaasiyat ye hai. ki ye ek file se kisi dusre file me badi teji se failte hai. agar kisi device me virus hai. aur vo device kisi or device me lagaayi jaaye to.aisi situation me virus ek device se kisi dusre me device badi hi aasaani se chale jaate hai.
also read=blog par high traffic paane ke 5 sidhaant
virus banate kyo hai ?
virus ko kuchh log dusro ko nuksaan pahuchane liye banaate hai. aur kuchh log apne kaam ke liye banaate hai. is baat ko samjhne ke liye ek aur example deta hun.
example=mana mai apne picture folder ko. dusro se bachaane ke liye. ek aisa programme banata hun jo hamare computer ko start hote hi.hamare computer ke picture folder ko delete kar de.[dhyaan de ki is programme ko maine apna pic folder delete karne ke liye banaya hai.] agar yehi programme apke computer me kaise bhi chala jaaye aur apka pic folder delete kar de to aap ise virus hi samjhenge. jab ki ye humaare liye kaam ka file hai.
ab baat karte hai. isse chhutkara paane
agar aap kuch baato ko. dhyan me rakha kar apne computer or laptop ko use karnge. to kuch hadh tak virus se apne computer ko bacha sakte hai.jinme se kuch baate hum aapko neeche bata raha hun.
also read=web directory site list
virus se bachne ke tarike
1= virus se chhutkara paane ka ek sabse important method hai. computer me ek achha antivirus instaal ho. [ main avast use karta hun]2= pirated programme se bache
3= porn site ko visit na kare
4= free antivirus na use kare
5= bina scan kare koi bhi app instaal na kare
6= auto play option ko band kare
to ye thi virus se bachne ke kuch upay .agar aap bhi koi upay jante hai jisse virus se bacha ja sakta hai.to please yaha par share kare
jisse aur logo ki problems ka solution ho.sake
thank you for read this post.
agar aap ek blogger hai to aapko ye post jaroor padhani chahiye
1 old visitor rok kar blog par dugna traffic paye
2 on page seo ke 3 factor jise google bahut imprtance deta hai.
3 post titile ko seo freindly banane ke 11 effective tarike