h1 h2...h6 ko hum is tarah samajh sakte hai.
jab hum h1 heading me kuch likhte hai. to uski later badi ho jati hai.aur jab h2 me kuch likhi jati hai .to wo bhi badi ho jati hai.lekin h1 heading se choti hoti hai.but normal letter se badi hoti hai. aise hi hum jitne bhi h1...h6 tak heading use karnge vo ek-ek kram se chhoti hoti chali jaayegi. isska ek example hum apko apne post nahi balki aap apne computer me karke dekh sakte hai. jisse aap isse achhi tarah se samajh jaayengeexample= pehle notepad khole aur iss code ko copy karke notepad me paste kar de

main heading

sub heading

sub heading

sub heading

sub heading

sub heading

ye post bhi padhe=on page seo ke 3 factor jise google bahut importance deta hai
iss code me jaha par likha hai. "main heading" sub heading'' voha par koi bhi word likh sakte ho. aur ctrl+s dabaye ab isse h1 h2.html naam dekar save kar de ab notepad close karke save ki huyi file par double click kare.
yaha par aap dekh sakte hai h1 sabse badi hai. h2 usse chhoti hai.h3 usse bhi choti hai. jis tarah hum h1 h2...h6 use kiya ussi tarah humaari text chhoti hoti chali gai hai.
ye post bhi padhe= in tariko se apne post ko high qualty wali post banaye
h1 h2...h6 heading me kya likhi jati hai.
jis tarah ye heading ek ek karke chhoti hoti jaati hai. ussi ke base par hum ye samajh sakte hai. ki issme kya likhi jaati hai. jara soche jab hum post likhte hai to
post me hum kis cheez ko sabse bada dikhana chahte hai. post ke main heading ko hum bada dikhana chahte hai. issi tarah hum kah sakte hai ki post ke main heading ko h1 tag me likhi jaati hai. theek vaise hi main heading se chhota post sub heading ko dikhana chahte hai. yeha par ye clear ho jaati hai. ki h2 tag me post ki sub heading ko likhi jaati hai. aise hi post me jitne bhi heading,subheading hai use likhte hai.
ye post bhi padhe= affiliate marketing aur adsense kaun better hai
kya na kare
agar heading tag ko theek se use na kiya jaaye to isse google aur visitor dono ko problem ho sakti hai. issiliye iss tag ko theek se use karna bahut jaroori hai.1= ek se jyada h1 tag ka use na kare kyoki ek post me ek hi main heading hoti hai.
2= aise jagah par h1 h2 tag use na kare jaha par  aur ka istemaal karna uchit hai.
3 aise word h1 h2 tag me na use kare.jo aapke post ko define na karta ho.
4 heading tag me link na use kare.
NOTE= ye google ke search-engine-optimization-starter-guide me aisa likha hai.
ye post bhi padhe=1 high traffic paane ke 5 sidhaant
2 apne blog par aane wale visitor kokaise roke
ye post bhi padhe=post title seo freindly banane ke 11 effctive tarike
isko use karne se kya fayda hai.
vaise to iske bahut se fayde hai.jinme se kuch ye hai.
1 iske istemal se hamra post achha aur beautiful dikhai padta hai.

2 h1 h2 tag bada hone ke karan.hamre post ke sabhi heading ,main heading.ek dum spasht [clear] samajh me aati hai.jisse visitor ko post samjhne me aasani hoti hai.aur visitor read karte samay .boring feel nahi karte hai/
3 hamara post seo freindly ban jata hai.
ye post bhi padhe=blogger me menu edit kaise karte hai.
on page seo kaise karte hai.uski puri jankari
author view
ek blog post ko kitni hi achhi tarah se seo optimize kyo na kar de. agar hum apne post me h1 h2 tag nahi use karte hai to hum use perfect seo freindly post nahi kah sakte . kyoki google title, description,permalink ke baad humaare post ke content ko hi visit karta hai. issiliy isska istemaal karna bahut jaroori hai.
i hope ki aap logo ko ye puri tarah se samjh me aa gaya hoga ki h1..6 heading kaya hai.
agar fir bhi isme koi problems ho to aap humse comment ke dwara puch sakte hai.
agar aapko meri ye post achhi lagi ho to ise apne facebook freinds ke sath jaroor share kare.
aapko ye post bhi padhni chahiye
1 best free seo tool in hindi
2 post me text box kaise banaye
3